"Khata ka pata nahi, Bas saza kaate jaa raha hoon."
"Khata ka pata nahi, Bas saza kaate jaa raha hoon."
"Puch raha hoon zindagi se zindagi ka pata, Jab milegi to pata chal hi jayega."
"Jisne jitna waqt diya tha, Hamne sab sambhal ke rakha hai, Kisi din fursat se ada karunga."
"Aajkal main zyada kuch nahi rakhta, Chahe wo khwaish ho ya log."
"Apne aap ko uske tarah likh paun, Ek aisa kirdaar dhoondh raha hoon."
"Wo aaya aur mujhe mujhse hi nikal ke gaya, Ab lagta hai mujhe apne aap ke sath baithe Zamana ho gaya."
"Unse phir baat hui, Lekin baat me wo baat nahi lagi."
"Apne aap se salah mashwara kar raha hoon, Ki zindagi se hisab kaise karun."
"Kuch lamhe zindagi se udhaar liya tha, Aajkal sood chuka raha hoon."
"Har kahani aur kisse ko likhte hai, Kuch padhne walon ke liye,To kuch padhane waale ke liye likhte hai."
"Mere kamre ke alawa bhi duniya hai, Wo parinda aaya aaj mujhe khidki par batlaane ko."
"Chand aur mera haal kuch ek jaisa hai, Hum dono ka akelapan duniya ki nazaro me sunhara hai."
"Bhulane mein toote na jaane kitne aaine, Wahi shisha, wahi chehra, wahi manzar."
"Unhe dikhai naa diya pyaar hamara, Wo mujhe parakhane me lagi thi samajhne mein nahi."
"Wo bahut chahte the hame, Jism par haan naa lagane diya to bhool gaye."
"Uski purani tasvir ko dekh ke ro deta hoon main, Na jaane kab uski yaadon me kho jaata hoon main."
"Jab tak paisa mere naseeb me tha, Wo mere bahut hi zyada kareeb tha."
"Dard aur mohabbat jab tak hoti nahi tab tak samajh nahi aati."
"Uska pata nahi lekin hum usko har roz yaad karte hai."
"Main uske zyaada kareeb aake usse door ho gaya."
"Kisi se nafrat karne ke liye, Kisi ko pyaar karna padta hai."
"Kuch apne paas nahi rakha, sab kuch us par hi luta diya, Kuch is tarah maine zindagi ka diya hua zindagi ko hi lauta diya."
Sapno ka kya ye aate jaate hain, Bas hakikat mein kabhi haar mat manana.
Usne mujhe der se yaad kiya hai, Aajkal wah mujhe der se samajhte hai.
Thoda waqt lo khud ko sambhalne ka, Warna waqt tumhe peeche chhod dega.
Hasna mujhe nahi aata jab se wo mujhe chhod ke gayi hai, Mujhe sahi se rona bhi nahi aata.
Bahut din ho gayi ab usse dur huye lagta hai, Ab mujhe ruthna bhi unka guroor lagta hai.
Wada kiya tha saath dene ka, beech raaste haanth chhod ke chale gaye.
Had rahenge to zindagi sukoon bhari rahegi, warna tokkar khane ko taiyaar rahna.
Dil dukhane ka accha tarika hai har zid teri mujhe sukoon deti hai.
Tum kyun khafosh ho ye sawal tha mera aur is baar bhi tum mujhe chup karake chali gayi.
Ab tera zikr nahi karta ab kaad hoon khud ke zazbaat lekar.
Har din dil behlane mein laga raha main aur wo mujhe behaas karke chale gaye.
Aksar chulhe ki roti yaad aati hai maan ghar se door teri bahut yaad aati hai.
Sukoon to gaon mein tha, is shehar ne to sirf dard diya.
Aaina bhi ab mujhe jalim kehne laga hai mujhe dard mein dekh ke.
Usne poonchha kaise ho maine kaha tuta hoon nahi isliye dard mein hoon."
Ant aane par sab theek ho jaata hai, bas afsos shuruwat ka hota hai.
Tumne sapne todhe hain mere mujhe nahi, main lautunga toh dard bahut hoga aapko.
Ant tak aate aate sab sahi ho jayega bas waqt ka tagaaza hai.
Ek waqt tha jab waqt kam pad jaata tha, par hum tum baatein lagaatar karte jaate hain.
Maut ka dar nahi, bas jeene mein koi kami na rahe jaaye.
Usne Msg kiya ke tum mujhe pasand ho, maine hanskar kaha dekho ye phir mujhse khelne aayi hai.
Mera kasoor nahi tha kuchh, phir bhi saza paayi thi, bin kuchh kiye dard maine paayi thi.
Main ab bacha hi nahi kuch todh ke gayi thi tum, vaaise hi toota pada tha main, sab kuchalte hue chale gaye ab bacha nahi kuch.
Wo chhod gaye mujhe is baat ka gam nahi mujhe, majhdhaar mein dooba ke gaye iska afsos zaroor hoga.
Meri fitrat nahi ki main dil dukhata phiroon, wo toh aap the jo mere pyaar ko dard samajh baithe.
Dard de rahe the mujhe wo, maine prem samajh ke svikar kar liya.
Kuch sapne ek jaise nahin hote, unhein poora karne ko waqt lagta hai.
Bahut majboot tha hamara rishta, kachche dhaage jaisa aasani se toot gaya.
Khokhle chai ki pyaali samajh ke tod gaye wo, mujhe akela chhod gaye wo.
Har lamha tere na hone ka dard sataata hai, phir lagta hai ye fikr bewajah hai.
Jitne log utne khyaal, sahi galat sab ka bura haal. Aaj kya karte, kal kya karoge, jo bhi milta hai sab ka ek hi sawaal.
Tum ishq karo aur dard na ho, kya baat karte ho saahab, tum udhaar lo, aur karz na ho.
Hamaari tumhaari maano aisi kahaani, jo samajh sako to aansu, jo na samajh paaya to paani.
Kuch is kadar kata hoon main, ki apnon mein hi bata hua hoon main.
Kya likhoon tumhein, apne dil ka haal likhoon, ya dil mein jo chal rahi hai wo sawaal likhoon, tumhein batao syaahi se likhoon ya apne khoon se likhoon.