
"Har koi khud he zimedaar hai, Apni zindagi ki 'Rehai' ka aur 'Giraftaari' ka."
"Har koi khud he zimedaar hai, Apni zindagi ki 'Rehai' ka aur 'Giraftaari' ka."
"Shayad main uska apne aap se bhi zyaada hoon."
"Agar main tera nahi, To main apna bhi nahi."
"Zubaan se jaane ko kaha, Aur aankhon ne rokh liya."
"Sharam karu, shikwa karu ya shikayat karu, Tum ab apne jaise nahi lagte, batao ab mai kya karu."
"Tadap ke hi sahi lekin zindagi ke har dard ko main seh gaya, Kuch is tarah main apni manzil ko piche chod safar me nikal gaya."
"Tumhare shehar ka har gali aur har mohalla yaad hai, Tumhara haathon me haath daal ke chalna yaad hai. Tumhara hamaare saamne kisi aur ke saath chale jaana yaad hai."
"Hum unki yaadon me kho gaye, Unki baaten kahate kahate. Wo hume chod ke chali gai, Hume bewafa kahate kahate."
"Aapke didaar ke liye hairaan hazaron hai pareshaan hazaron hai, Aapke ek ishare par katal hone ke liye taiyar hajaron hai."
"Jurm sab ne ki hai yahan, Sahi main bhi nahi, tu bhi nahi, Khuda tu bhi nahi, main bhi nahi."
"Har baat ka matlab samjhate ho, Tum hume bewkoof samajhte ho, Ya aapna matlab nikalna chahte ho."
"Shabdon ko jod kar kuch hissa likhta hoon, Main to haste haste zindagi ka dard bhara khissa likhta hoon. "
"Tafteesh nahi hoti ishq ke maamle mein, Aksar ek tarfa chahne waalon ko saza suna di jaati hai."
"Ishq me agar guftagu aankhon se nahi ki, To phir aapne sahab ishq nahi ki."
"Hum ta umar unse guftagu karne ka tarika dhundhte rahe, Aur wo hume isharon me ishq samjha gai."
"Ishq ishq hota hai Saurabh, Tum nahi samjhoge."
"Aagaz likha hai, anjaam bhi likhenge, Aap sath hai to thik hai, Warna har ek shaam aapke naam likhenge."
"Tum waqt ke saath dhalne ke liye nahi, Tum waqt ko badalne ke liye bane ho."
"Hum aapke pyaar me aise chale, maano angaaron pe chale ho jaise. "
"Is zamane mein har koi kisi na kisi wajah se pareshan hai, Koi tanha rahna chahta hai to koi tanhai se pareshan hai."
"Kisi din main usko rokh lunga aur waqt ko jaane dunga. "
"Pasand to bahut kuch tha mujhe lekin tumhare bina, Ab kuch aur kisi cheezon mein dilchaspi nahi rahi."